Tuesday, May 3, 2011

GHAZAL BY VIJAY BAADAL

Apna bhi to dam ghut-ta hai ek
andhere kone mein.
Tu ho tera
ahsaas na ho to kya hai terehone
mein.
In ankhon ke intazal mein uljha
maine maan liya,
iss se pahle
yakeen nahi tha mujhko jadoo tone
mein.
Jo dil mein vo lab par hona
deewanapan hai to ho,
par ham
yakeen nahi rakhtein hain jhoothe
rishte dhone mein.
Sone ke bistar par sone ki chahat
naakam rahi,
sone ka man laga hua
tha zor shor se sone mein.
Khar chubhe khud ke kadmon mein
ab jab to hairan ho kyun?
tum mashroof the gairon ki rahon mein kante bone mein.
Desh ki kashti mein sawar hain
andhe bahre goonge log,
majhee ko hi maza aa rahai kashti ko dubone
mein.
Ik halka sa jhatka dekar tumne yun
hi tod diya,
tumhe khabar kya kitni
mashakkat ki thi haar pirone mein.
- Vijay Baadal

No comments:

Post a Comment